Creative words

Pehchaan… Where is your identity

Share this:

Pehchaan : Where is your identity
Talaash apni pehchan fir ab tu ae insaan….
Na jane kaha khoya h tu or
Kis manzar me dooba rehta h
Waqt k dastoor ko samajh
Kr wahi jo mann tera kehta h
Na apni khaamiyon se tu darr
Na khud pe bewajah abhimaan kr
Waqt is karwat kbi us karwat bdlta h
Insan wo jo thokar khakr smbhlta h
Sachai se khud ko ab kar tu rubaroo
Jeene ki hrpl is dil me rakh tu arzoo
Yu mushkilo se darkar kaha jia jaega
Ghoont bebasi ka kabtak pia jaega
Shakti ko apni tu parwan chdne de
Dil ko tere hauslo ki dastan pdne de
Waqt ki ret ki trh hi h teri ye zindagi
Bandh na sakegi isko koi b bandagi
Bin haasil kie kuch kaha rahega namo-nishan
Dafan na ab aur honge tere dil k ye armaan
Talaash apni pehchan fir ab tu ae insaan…..
By : Divya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *