Uljhan……
Uljhane zindagi me aati rahi
Wo poore josh se use suljhane lage
Jab badhti gyi uljhane ankahe kayi
Wo hmse yu baatein chhupane lage
Silsila sa bandh gya uljhano ka jab
Wo apni palkein kuch yu jhukaane lage
Sochte the puchenge jab wo milenge hume
Pr wo hami se apni nazrein churane lage
Kar diya jo begaana aisa gunaah kya hua
Har khushi se wo jee churane lage
Hum the to waha saath dene k lie
Na jane kyun wo humko aazmaane lage
Uljhano mein wo kuch aise kho gaye
Har din naya bahana banane lage
Subah ki laali na jane kahan kho gayi
Dukhon ke baadal kyun mandraane lage
Unn dhundli si rahon pe sab adrishya ho gya
Khile phool bhi yun murjhaane lage
Jab wo guzarte the mehakte the raaste
Ab unke kadmo k nishaan feeke pdne lage
Aaina dekh bar bar muskuraate the wo
Ab khud ko nihaarne se katraane lage
Yun ghutan mein bhla kbtk jiyenge wo
Kabhi to raahat ka ehsaas hone lage
Uljhane ek din aujhal ho jaengi
Datkar saamna jo hausla unka karne lage….